Pakistan Kidney and Liver Institute ki Shandaar Kamyabi — Jigar ke 1000 Kamyab Transplants Mukammal
Pakistan Kidney and Liver Institute (PKLI) ne kamyab 1000 jigar transplants mukammal kar ke khud ko duniya ke baray transplant markazon ki saf mein shamil kar liya hai. Ye kamyabi Pakistan ke shoba-e-sehat ke liye aik ahem sang-e-meel hai.
2017 mein mojooda Wazir-e-Azam aur us waqt ke Wazir-e-Aala Punjab ne is idaray ka khwab dekha aur sang-e-bunyad rakha. Is idaray ka maqsad awaam ko jigar aur gurday ke amraaz ka a’almi mayar ke mutabiq ilaaj faraham karna tha. Aaj wo khwab haqeeqat ka roop dhar chuka hai jahan hazaron mareezon ko jadeed ilaaj ke zariye nai zindagi di ja chuki hai.
Tarjuman PKLI ke mutabiq ab tak jigar ke 1000 ke ilawa 1100 gurday aur 14 bone marrow transplants kamyabi se mukammal kiye ja chuke hain. Idaray ne ab tak 40 lakh se zyada mareezon ko ilaaj ki sahulat faraham ki hai, jin mein se taqreeban 80 feesad mareezon ka ilaaj mukammal tor par muft kiya gaya. Istita’at rakhne walay mareezon ke liye ilaaj ke ikhrajaat taqreeban 60 lakh rupay hain, jo khittay ke deegar mumalik ke muqable mein intehai kam hain.
Tarjuman ne bataya ke badqismati se PKLI ko aik arsay ke dauran siyasi mudakhlat aur funds ki bandish ka samna raha. Idaray ki intizamiya ko ghair zaroori tahqiqat mein uljhaaya gaya aur a’almi mayar ke transplant center ko COVID hospital mein tabdeel kar diya gaya, jis ke bais 2019 mein sirf chaar jigar ke transplants mumkin ho sakay.
Tahum, 2022 mein Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif ke iqtidar sambhalne ke baad idaray ko dobara bahal kiya gaya. Funds faraham kiye gaye aur PKLI ko apne asal maqsad ki janib wapas laya gaya. Is ke nateejay mein 2022 mein 211, 2023 mein 213, 2024 mein 259 aur 2025 mein ab tak 200 se zyada kamyab jigar ke transplants mukammal kiye ja chuke hain.
Mahireen ke mutabiq bairon-e-mulk jigar ke transplant par ausatan 70 hazaar se derh lakh Amreeki dollar tak kharch aata hai, jabke maazi mein har saal taqreeban 500 Pakistani mareez ilaaj ke liye Bharat jatay thay, jahan unhein bhari ikhrajaat ke sath sath ghair insani rawaiyon ka bhi samna karna padta tha.
PKLI ne in tamam mushkilaat ka khatma kar diya hai. Ilaaj ke darwazay ab mulk ke andar khul gaye hain aur arabon dollar ka qeemati zarmadadla bachaya gaya hai. Ye idara ab sirf transplant tak mehdood nahi balkay urology, gastroenterology, nephrology, interventional radiology, advanced endoscopy aur robotic surgeries ke shu’bay bhi a’almi satah par tasleem shuda hain.
Tarjuman ke mutabiq Wazir-e-Aala Punjab ki khususi sarparasti aur musalsal ta’awun se PKLI tezi se taraqqi ki raah par gamzan hai. Ye idara ab mehz aik hospital nahi balkay qaumi waqar, khud-inhesari aur insaniyat ki khidmat ki alamat ban chuka hai.
Wazir-e-Azam ka Sang-e-Meel Aboor Karne Par Izhar-e-Tashakkur
Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif ne izhar-e-tashakkur karte hue kaha ke Allah ke fazl o karam se jo poda 2017 mein lagaya tha wo aaj tanawer darakht ban gaya hai jisse ab tak 40 lakh mareez mustafeed ho chuke hain. Maazi mein PKLI ko tabah karne ki sazishain hoti rahi, Board of Governors ko khatam kiya gaya aur idaray ko ghair fa’aal kar diya gaya tha.
Unhon ne kaha ke 2022 mein zimmedari sambhalte hi PKLI ki az-sar-nau bahali par kaam shuru kiya. Wazir-e-Aala Punjab Maryam Nawaz ne mojooda dour-e-hukoomat mein insaniyat ki khidmat ke liye qaim is idaray ko dobara apni bharpoor isted’aad par lane ke liye mehnat ki, jo qabil-e-sataish hai.
Unka kehna tha ke PKLI 80 feesad mareezon ka ilaaj muft karta hai jisse ghareeb awaam bain-ul-aqwami mayar ki sahuliyat se mustafeed hotay hain. PKLI ke qiyam aur iske operations ko az-sar-nau shuru karke dobara apni bharpoor isted’aad par lane wali team laiq-e-tahseen hai.
Shehbaz Sharif ne mazeed kaha ke dukhi insaniyat ki khidmat aur zindagiyan bachane mein PKLI ne jo kirdar ada kiya hai, us ke liye Dr. Saeed Akhter aur unki poori team khiraj-e-tahseen ki mustahiq hai.
